लोग जो दिखाते है , वो आधा सच होता है | दिखावे पे मत जाओ ,अपने आपको कर्ज मे ना फसाओ
Kya koi aisa hoga, jo jan bhujh kar karj ke jal me apne aapko fasana chaega,
Bilkul Nahi,
Agar koi jan bhujh kar karj ke jal me fase to use pagal hi kah sakte hai , aur kya ?
Lekin, ise baare me kya kahenge ?
Jyaadatar insan kya chahte hai,
Accha ghar, ghar me saari such suvidha wali chize jaise – shandar furniture , bada tv, shandar freeze, a.c. au raise hi bahut kuch,
Iske baad, shanadar gadi,
Shandar phone,
Holidays ghumna,
Birthday parties,
Aur aise hi bahut kuch….
Har aadmi yahi sab chahta hai…………..
Aur ye chize pane ke do tarike hai ….
Pahla – aap jyada se jyada kamao, aur kamai ka maximum hissa bachao, us paise ko sahi tarha se invest karo, aur fir 10/15/20/25 saal tak lagagtar ye chize repeat karte raho…fir apke pas shyad itna enough ho jay ki aap ye sab chize kar sako,
Shandar gadi, shandar ghar,
But….Kya ye aasaan hai , – Bilkul Nahi, aur Kitna samay laega – to kai saal , yani bahut jyada time bhi lag sakta hai…
To ab kyoki – is tarike se bada ghar badi gadi ka sapna bahut kathin lagta hai, bahut samay lagta hai , to jyaadatr log kya karte hai…
Ji ha …we chunte hai …aasaan rasta….
Aur rasta hai…aap Home loan lekar ghar le lo, us home loan pe top up leke furniture kar lo, car loan lekar car le lo…au raise hi aapko jo bhi chahiye….wo aap aaj hi kharid lo…aur apni kamai me se EMI kar lo…aur har mahine kist bharte raho….aur karj me dub jao..
Kamal ki baat yahi hai…
Ki jyaadatar log is dusre aasaan rarste ko chunte hai….aur karj ke jal me faste hai…..
Aur is se bhi badi kamal ki baate ye hai …..jo already is tarah se loans lekar, apne sapne ko fatafat pura kar karne ki koshish kar rahe hai….unki dekha dekhi…hi aur log karte hai…
Yani jo fatafat aasaani se apne sapno ko pura karne ke chakkar me , already karj ke jal me fase hai…unki shandar gaadi jiske piche ek bada car loan, shandar ghar jiske piche 20/30 saal ka home loan emi hai, use dekh kar dusre log bhi bada ghar , badi gadi lete hai…aur khud ko jane anjane karj ke jal me fsa lete hai………
Because….sach koi jan nan ahi chaha, aur apne sapno ko pura karne ke lie koi wait bhi nahi karna chahta ha…
Fatafat life hai…aur sab kuch fatafat chahiye…
Aur fatafat sab kuch pane ka asaan tarika hai …Buy on EMI, Buy on Credit, Buy on Loans,
Aur ye karne ke baad , aadmi ka karj ke jal me fasna tay ho jaata hai…
Aur ye jo silsila hai….ye continue hai…
80% log karj ke jal me sirf isliye faste hai, kyuki …wo unhe copy karte hai…unki lifesthyle ko jina chahte hai…jo already karj me fase pade hai….
Ab jaisa maine shuruat me kaha ….ki koi bhi jan bhujh ke karj ke jal me nahi fasta , balki jane anjane hota hai….
Yani….sabse badi problem hai….
Log ek dusre ko blindly, follow karte hai….aur ye sochte hai..ki sab log jo kar rahe hai…wahi to sahi hai…sab log galt nahi ho sakte…
But we bhul jaate hai….ki sab log me se jyaadtar log kitne gande tarike se karj ke jal me fase hue hai….
Iske alawa ek aur badi problem ye hai ..ki..
Logo ko bada ghar dikhta hai…lekin use bade ghar ke piche jo bada loan hai wo nahi dikhta…
Sab ghar ki hi tarif karte hai….koi is baare me to baat karna bilkul hi pasand nahi karta…ki us bade ghar ya badi gadi ke piche kitna bada loan hai, jiski emi time pe pay karne ke kitna bada tension hota hai …
To yaha pe is video ka lesson bahut simple hai ki….
To pahla lesson hai….
Ki aap ye samjho ki ….aapko is ek layer piche ki sacchai ko samjna hoga, aur us aadmi ki situation ko samjhna hoga, jo har mahine apne bade ghar aur apne badi gadi ya jo bhi usne loan lekar shaan saukt banai hui hai…uske EMI ko pay karne ke lie kis tarah ki tension hoti hogi….
Aur dusra simple lesson hai….
Never follow anyone blindly….
Jo dikhta hai…wo aadha sach hai…aadhi sacchai chupi hoti hai…jise aapko samjhna hoga…
Ki shandar ghar aur shaandar gaadi jo dikh rahi hai…uske piche ki sabse badi sacchaai hai…shaandar bada loan aur uski emi….
Aur is tarah se sacchai ko dekhkar hi…aap apne lie faisle karo…
Na ki yu hi aap blindly logo ko follow karo..aur khud ko fasa lo…
💰 Start Your Investment Journey with India’s Best Stock Brokers
Open Demat Accounts
💰 Zerodha – https://zerodha.com/open-account?c=ZMPOUE
===============
💰 Upstox Demat Account Online (Free) – http://upstox.com/open-account/?f=M6M8
==============
💰 5Paisa Demat Account
https://www.5paisapartners.com/partners-elite?rcode=NTU1MjM2Mzk
==============
💰 Sotxkart
https://www.stoxkart.com/cpc/open-demat-account.php?Lang=eng&ref=BDSTX0511
(No Profit No Brokerage)
—————
hindifinancialeducation#personalfinance#financialeducation
source